Sunday, July 18, 2010

Purane Lamhey


Vo yaaron ke sang long drive pe jana
Chalti gaadi k shishon se bahar nikal ke zor se chilana
Jeb mein paise nai par aiyashi ki hadd nai
Dhabey mein paet bharna
Raat puri gappey ladana
Suttey ke dhuey mein aur Jaam ke nashey mein mast rehna
Chadar se dhakh kar doston ko peetna

Has Has ke yun hi din kat dete the
Ek plate maggie pe sab toot padte the
Gaali bhi pyaari lagti ti aur maar bhi achi
Jab ansu aaye toh jhappi paana
Aur pass ho jaye toh ek dusrey ko lootna

Attendence shortage apna gaarv tha
Canteen ki chaun mein apna adda tha
Pal haseen the aur sapne jawan
Dhundley ho gaye hai woh lamhey
par ankhein hai ab bhi nam
Chaltey chaltey na jaane kitne duur agaye hai hum

Woh puraney lamhey.... adhurey reh jaate hai ab yaaron ki bin.

No comments: