Tuesday, July 6, 2010

Hum Chalein


Apni toh soch nayi, hai khwaab badey
Unchi hai maanzelein aur raah naye
Chalna humein hai aagey, hum chalein
Dil ki taar se naye geet hum gayein

Oh rahi hum chalein, Apni udaan bharney
Tum roko to bhi na rukein, hum chalein
Yeh duniya hai apni, Na rokey koi..
Apni hai chalani, na tokey koi.

Daar nahi hai ab, bas jeet ka josh hai
Fasley kitney bhi ho, hum befikaar hai
Na sunne wale hum kisi ki, hum chalein
Masti mein yun ghum, Naye dhun gungunayein

Oh rahi hum chalein, Apni udaan bharney
Tum roko to bhi na rukein, hum chalein
Yeh duniya hai apni, Na rokey koi..
Apni hai chalani, na tokey koi.

Na pukaro humein, kuch na sunayi de
Bas badna hai aagey, apni maanzil dikhayi de
Jheley hai bohat maar ab na jhelengey
Junoon hai bhara, ab na rukhengey

Oh rahi hum chalein, Apni udaan bharney
Tum roko to bhi na rukein, hum chalein
Yeh duniya hai apni, Na rokey koi..
Apni hai chalani, na tokey koi..

No comments: